Creativity Magazine

Sukoon..

Posted on the 17 August 2015 by Heartbaredtoyou121 @naughtytushki

Sukoon..

Abhi bas gaadi se kadam nikala hi tha
ke kuch boonde cham chama ke maathe pe aan padi
ghadi dekhi to subah ke che baje they
hawa me nami thi and thandak bhi
Kuch andhera tha jo bas apne pahunchne ki raah tak raha tha jaise
ham teeno bhi samaan utha sawaari chhod manzil ko ho liye
ek ghanghor garaz sunai di
aur baadal karvate lene lage
boondabaandi shuru Ho chuki thi
mann prasann ho gaya
par samaan thame ham apne hotel ki taraf daud pade
kuch tees ek feet ki uchai rahi hogi
seedhiyo se dhaki hui

Sukoon..

kuch hi minto me ham kamre me band they
chai ki talab hui to jaan pada abhi rasoi khulne me waqt hai
Ham fir doobti raat ko dhundne nikal pade
hotel ke peeche pahad tha
aur aage ek sadak aur fir meelo gehri khayi
ham kadam naapte hue baadlo ke peeche lo liye
aise ghane aur kaale badal shayad pehle kabhi Nahi dekhe they maine
aur vo bhi itne kareeb se
aisa lag rha tha mere saamne alaav jala rakha hai
aur usi se dhuan utha rha hai
aur badal ban rahe hain
pahadi ki chotiyon ka jaise chumban karte hue,
athkheliyan karte hue, nirlajj badal
ghumte, fisalte, baraste, garajte badal
jab badal se dhyan hata to neeche baandh par ja pahuncha
krishna nadi ko kaatne ke liye kachcha baandh tha
aur ek jheel ban gayi thi usse pehle
jo dekhne par neele ki bajaye hare paani ki thi
par subah ki mehak, baarish ki khushbu, badalon ki garaz,
mitti ki sugandh, aur pahado ki chamak
Kuch aisi thi ke kuch atpata nahi laga
Mann ko sukoon milta tha kuch
aisa jaise shehro me nahi milta
dukano pe bikta bhi nahi
iski koi paribhasha bhi nahi
aur koi paimaana bhi nahi
bas sukoon hai,
dhoondne pe hi milta hai
aur dhoondne vaale ko hi milta hai
kuch karamaat hai uparvale ki shayad

us pal me socha ke thehar jaun vahin
aur bas jaun, us veerane me
khait ki mitti ko seechkar
anaaj ugaunga,
kuch tripti to hogi mann ko
par sukoon ki bhi hadd hoti hai
aisa sochkar bula bheja zindagi ne
ke laut aao meherbaan
mujhe khoon ki kami hai
aur tera bina mera jeena beimaani hai..


Back to Featured Articles on Logo Paperblog

About the author


Heartbaredtoyou121 179 shares View Blog

The Author's profile is not complete.

Author's Latest Articles