Diaries Magazine

Bahut Khoob Ho Gaye Ho

Posted on the 29 September 2015 by Cifarshayar @cifarshayar

बहुत ख़ूब हो गए हो। (Bahut Khoob Ho Gaye Ho)


Change in my sister's behavior after her engagement inspired me to write this Ghazal (poem). I have observed such changes in many other people and hope this will remind some of you of your courtship days. 
Bahut Khoob Ho Gaye Ho
जब से तुम किसी के मेहबूब हो गए हो,बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब हो गए हो। Jab Se Tum Kisi Ke Mehboob Ho Gaye Ho,Bahut Khoob, Bahut Khoob, Bahut Khoob Ho Gaye Ho.
हर किसी से आँखें चुराना, न हाथ मिलाना, न बातें बनाना,बस एक शख़्स में हर वक़्त मसरूफ़ हो गए हो,बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब हो गए हो। Har Kisi Se Aankh Churana, Na Haath Milana, Na Batein Banana,Bas Ek Shaks Mein Har Waqt Masroof Ho Gaye Ho,Bahut Khoob, Bahut Khoob, Bahut Khoob Ho Gaye Ho.
दिखते ही नहीं अब तो खुल के मुस्कुराते, सखियों संग बतियाते,अकेले बैठ फुसफुसाने में माहिर हो गए हो,बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब हो गए हो। Dikhte Hi Nahin Ab To Khul Ke Muskurate, Sakhiyon Sang Batiyate,Akele Baithe Fusfusane Mein Mahir Ho Gaye Ho,Bahut Khoob, Bahut Khoob, Bahut Khoob Ho Gaye Ho.
अब तुमको नहीं ख़बर कि कब रात कब सुबह है,नींद को मात देने में अव्वल अब हुज़ूर हो गए हो,बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब हो गए हो। Ab Tumko Nahin Khabar Ki Kab Raat Hai Kab Subah Hai,Neend Ko Maat Dene Mein Awwal Ab Huzur Ho Gaye Ho,Bahut Khoob, Bahut Khoob, Bahut Khoob Ho Gaye Ho.
जब से तुम किसी के मेहबूब हो गए हो,बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब, बहुत ख़ूब हो गए हो। Jab Se Tum Kisi Ke Mehboob Ho Gaye Ho,Bahut Khoob, Bahut Khoob, Bahut Khoob Ho Gaye Ho.
मेहबूब (Mehboob) - Beloved ; बहुत ख़ूब (Bahut Khoob) - Very Well {implies that she has changed) ; शख़्स (Shaks) - A Person ; मसरूफ़ (Masroof) - Busy ; सखियाँ (Sakhiyan) - Female Friends ; बतियाते (Batiyate) - To Talk ; फुसफुसाना (Fusfusana) - Whispering ; माहिर (Mahir) - Expert ; अव्वल (Awwal) - Number One   

Back to Featured Articles on Logo Paperblog

Magazine