Tujhe Mein Yaar Kaise Paun!

Posted on the 15 July 2015 by Cifarshayar @cifarshayar

तुझे मैं यार कैसे पाऊँ ! (Tujhe Mein Yaar Kaise Paun!)


Hesitation in admitting your love to someone is as common as loving someone. But a better way to express that feeling as taught by our Bollywood films is a song. Here I am presenting a one such song in a form of Ghazal

Add caption


तुझे मैं यार कैसे पाऊँ,बता एक बार कैसे पाऊँ,मैं बस ये सोचता ही जाऊँ, तुझे मैं यार कैसे पाऊँ। 
Tujhe Mein Yaar Kaise Paun,
Bata Ek Baar Kaise Paun,
Mein Bas Ye Sochta Hi Jaun, Tujhe Mein Yaar Kaise Paun.
इस दिल का करार तू है,
मेरा पहला प्यार तू है,
तुझे ये कैसे मैं बताऊँ, मैं बस ये सोचता ही जाऊँ,
तुझे मैं यार कैसे पाऊँ। 
Is Dil Ka Karaar Tu Hai,
Mera Pehla Pyaar Tu Hai,
Tujhe Ye Kaise Mein Bataun, Mein Bas Ye Sochta Hi Jaun,
Tujhe Mein Yaar Kaise Paun.
तेरी आरज़ू है मुझको,
मेरी ज़िन्दगी से ज़्यादा,
तेरे ही संग रहना मुझको,
है मेरा यही इरादा। 
पर जब सामने तू आए, मैं कुछ भी तो कह न पाऊँ। 
तुझे मैं यार कैसे पाऊँ। 
Teri Aarzu Hai Mujhko,
Meri Zindagi Se Zyada,
Tere Hi Sang Rehna Mujhko,
Hai Mera Yahi Irada.
Par Jab Saamne Tu Aaye, Mein Kuch Bhi To Keh Na Paun,
Tujhe Mein Yaar Kaise Paun.
हैं सारे रंग तुझमें,
सारी खुशबू तुझमें शामिल,
मैं इज़हार करता हूँ अब,
बिना तेरे न जीना मुमकिन ,
बार-बार कहता जाऊँ, तुझे ही यार बस में पाऊँ,
बार-बार कहता जाऊँ, तुझे ही यार बस में पाऊँ। 
Hai Saare Rang Tujhme,
Saari Khushbu Tujhme Shamil,
Mein Izhar Karta Hun Ab,
Bina Tere Na Jina Mumkin,
Baar-Baar Kehta Jaun, Tujhe Hi Yaar Bas Mein Paun,
Baar-Baar Kehta Jaun, Tujhe Hi Yaar Bas Mein Paun.

करार (Karaar) - Peace ; आरज़ू (Aarzu ) - Desire ; इरादा (Irada) - Intention ; इज़हार (Izhaar) - To Admit ; मुमकिन (Mumkin) - Possible.