Magazine
First Wardrobe Malfunction ( Dropadi Chirharan)
Posted on the 05 August 2013 by MayearonkarThoda itihas me jaya jaye, lets talk about the first ever wardrobe malfunction, the draupadi chirharan, ye pehla wardrobe malfunction tha, jo intentional tha on the part of model, ha publicity stunt jarur tha, dushyashan ka, naito usase pehle unko kon janta tha. Ab apne dekha hoga dushasan chir khich rahe the and dropadi aaaaa. Dropadi ne ek bar bhi dushasan ko rokane ki koshish nai ki, dushasan kya kar rahe ho,bhagvan ke liye chod do. Bhagvan ke liye bolti, bhagvan abhi jate, bhagvan sabha mehi bethe the, par nia aaaa.jaise wo enjoy kar rahi he. Mano yash chopra ki muvi ka romantic song shoot ho raha ho aaa.
To ye chirharan chal raha he idhar and unke pacho pati bethe bethe dekh rahe the chirharan. Jaise ki aj Manmohan singh indian economy ka chirharan hote dekh rahe he. Matlab koi pati help karne ke liye nai uth raha, aur wobhi kaise uthate, sabha ki maryada bhi koi chij he, dharam ki avahelna ho jati ki bhai biwi ko jue me hare he majak thodina he, jaban kibhi koi value hoti he, chahe kal wo bolne layak na rahe.
Aur aise logo ko hum kehte he dharamraj, inhone apni wife koi jue me laga diya, aur wo kya karte, unke pas real estate ke namese dropaddi to thi, to wife ko jue me laga diya, usase consult bhi nai kiya ek bar bhi udhishthir ne ,"me dropadi , hum pandav actually soch rahe the hamara tumame jo stake he thoda kaurav kharidna cha rahe he, jue me thoda loss hogaya samajha karo". "Dharamraj par ye kaise??". "Dropadi samjha karo gatbandhan kibhi apni alag majburiya hoti he." Dropadi ko patahi nai. Wo to bas shringar kar rahi thi, "sajna he mujhe, pacho ke liye…sajna he mujhe." Aur idhar guptchar ata he, "bhabhi". "Bolo guptchar". "Bhabhi wo apko..(crying) bhabhi wo apko sabha me bula rahe he bhabhi". "Yeto bohot achi bat he. Mujhe 5 min do me sari pehenke ati hu..
" "dekhlo bhabhi, shradha he apki. Baki jis attitude se waha log bethe he jarurat nai he."
Thoda rewind me jate he, jahase kahani shuru hui, arjun ne machli ki akh bhedi, aur unka dropadi se vivah kara diya gaya, aur dono chijo me koi relation anai he, matlab machli ki akh bhedna bottom line thi to kisi fisherman se karate.
Yeto wohi bat hui aj mukesh ambani bole, "me apni beti ki shadi next Olympic archery champion se karaunga, aur uske bhai he, to wo bhi sathme fere le sakte he."
Matlab pehle to apne bandi ko objectify kar diya,trophy banake dediya fir usko bat bhi lo. To mujhe lagta he dropadi ka chirharan uske actual chirharan se pehle hi hua tha.
Arjun to jitke bhi laye thebt baki yudishtar , bhim, nakul, sahedev wo to dropadi var thehi nai. Yudhishtir dekhiye unse waise bandiya nai patatai, kyoki udhishir good boy the aur ap jante ho, good boys get heaven and bad boys get women.
Yudhishthir ki shakal dekhake hi pata chal jata he ki inki to sirf arrange marriage hi possible he. Aur ye aise log he jo arrange marriage ke bad bhi single reh jate he, aur me hamesha sochta hu yudhishthtir hamesha sach bolte the, to wo flirt kaise karte honge. "Suniye…kaisi lag rahi hu??" "Moti…kafi moti taji hogayi hu tum dropadi"… "ap bhi na ..acha apko mujhe dekhake kya feel hota he???" "Bojh, burden. Darling feel to shadi k eek do sal hi hote he baki log badme sirf gadi hi khichte he." "You know what yudhishthir you are a looser." Aur yudhishthur ki sachai dekhiye unhone dropadi ki bat rakhne ke liye sachem unhe loose bhi kar diya.
Bhim bhi dropadi vardi nai the. Bhim us jamane ke sunny deol the. Me to sochta hu unhone propose kaise kiya hoga, "dropadi me tumse bohot pyar karta hu, I luv u very very much dropadi." "Ye bhim bhaiya ap itne despo q sound karte he". "despo nai I luv u goddam it."
Nakul , sahedev bhi dropadi vardi nai the. Unkoto pandav hi nai manta me. Kyoki unko apni shadi mehi nai bulaya gayatha, jab fere ho rahe the wo kursiya laga rahe the.
To me sochta hu dropadi shadi hogayi ghar agayi, uske bad arjun ne dropadi ko convince kaise kiya hoga, "dropadi, wo yudhishthir bhaiya apse kuch akeleme bat akrna chahte he. Ha bhaiya andar ajao. To ap log fir bate karo me archery ki practice karke atahu. Are apnahi ghar samjho bhaiya ..shoose woose utardo ap."
Fir dropadi niche jhuki, "are are dropadi apki jaga mere charno me nai, ap bethiye.."
"Bhiaya ap kuch lenge?" "Bhaiya nai apna mujhe mere 1stnam se bulaya kijiye." "Dharamraj??" "Dharamraj nai sirf raj. Apna lagta he." "To ap kuch lenge matlab appy, fruity koi juice??" "Wine he?? Ab dropadi meko kuch ghuma firake bat karna ti nai, actually mena tumhe like karta hu and tumhare sath frndship karna chahta hu."
Nyways back to central hall, jahape apna karyakram chalu tha, dushasan jot the wo chir khich rahe the, bhim ko gussa bhi araha tha. "Bhaiya ap kuch kar q nai rahe he." "Chill bhim chill." "Bhaiya wo meribhi patni he"… "thi..thi bhim abto hum use har chuke he. Aur murkh to ye kaurav he jo khudki jiti hui chij ko bhi beijjat kar rahe he." Nakul="bhaiya wo meri bhi biwi he." "Nakul, biwi nai bhabhi he, husband to me hu, tum to ligand ho, khamkha dropadi ke sath complex coordination banate rehte ho."
Arjun ko gussa agaya, "bhaiya bhabhi hogi apki, jitke to me layatha"," to kya hua arjun? Harato me hu. Aur harke jitne wale ko yudhshtir kehte he."
Benzene RingChirharan ke tym dropadi jot hi wo ek benzene ring ki tarah thi.kyuki unpe 6 logo ki najar thi, 5 pandav 1 dushasan. She was susceptible to any incoming nucleophile, electrophiles, lone pairs, ligands. Especially reducing agents, who could reduce out her tears. Chirharan se pehle dropadi ek substituted benzene ring ki tarah thi, kyoki unke ortho, meta, Para positions pe bhim, arjun aur yudhishthur substituted the. To kisi bhi incoming kaurav type group ke liye substitution karna bada mushkil tha. Wo bhi in 3d. sp3 hybridization apko yad hoga. To pehle to unhone pandavo ko wahase hataya, dropadi ko wapas planar banaya, taki asanise substitution ho paye. Acha dushasan jo the wo free radical the, kyoki free rehte the aur radical thinking thi, khulle me kam karte the sare.
To dushasan jo the chir khich rahe the,achanak Krishna bhagvan prakat hogaye, unke hathse sari nikalne lag gayi. Wo apne jamane ke spider man the, unke hathse puri ki puri saree hi nikalti thi, same color ki same printed, fall wall bhi lagi hoti thi. Wo to usdin time nai tha warna usdin kanjiwaram hi nikalte the wo. Aur me sohta hu itni mehenat karneki kya jarurat thi, bhai ap jo he main switch off kar dete. Batti gayi bat gayi aur andhereme chirharan ho bhi gaya to kisko farak girega. Siway dropadi ke. Par nai. Bt mene socha ki nai itni precious situation thi, crunch moment tha bt pressure me thodehi thought ate he. To ap sudarshan se dropadi ki saree kat dete dushyasan gir jata aur dropadi ko leke bhag jate. Par nai. Apne to ego pehi leli. "Saree khech leni na tanne. Kaich. Dekho kitni khaiche aj khaich."Ab main mudde pe atahu ki dropadi chirharan jot ha wo practically possible hi nai he wo logo ko bewkuf banaya gaya he.Imagine kijiye me dropadi hu. Sirf imagine karna jyada dimag nai lagana. Aur meko top angle se dekhiye. Right me dushyasan he jo chir khich rahe he agar me anticlock wise rotate hoga to saree bhi anticlock wise lipti hui he. Left se Krishna saree de rahe he wo mujhpe anticlockwise ghumegi jis direction me me ghum raha hu. Now my point is ek hi direction me saree lipat bhi rahi he nd utar bhi rahi he kaise possible he? Ye tabhi possible he jab jo saree Krishna ke hath se nikal rahi he wo dushyasan directly khich rahe he matlab dropadi to abtak out of picture ho chuki he par wo phir bhi ghume ja rahi he wo abhi character mehi he. To ek point ke bad mujhe laga chirharan dekhake ki dropadi jo he wo apni izzat bachane ke liye nai sirf apna angle of momentum conserve karne ke liye ghumi jarahi he aur ap dekiye ki Krishna and dushyasan jo he wo torque couple bana rahe the.
Moral:- To ye padhke exam me roational motion pe ek sum aa sakta he.Find the total number of revolution which dropadi took after the moment as saree came off to the moment she complete the process. Find the answer in Radians ? find the total work done by dushyasan in the process.