Diaries Magazine

Raksha Bandhan - Jiski Bahan Nahin Hoti.

Posted on the 28 August 2015 by Cifarshayar @cifarshayar

रक्षा बंधन - जिसकी बहन नहीं होती। Raksha Bandhan - Jiski Bahan Nahin Hoti.


Raksha Bandhan is an Indian festival of brother-sister love in which sister tie a rakhi (sacred thread) on her brother's hand and wishes for his long-life while brother promises to protect her and take care of her in every possible way. Sadly the country which celebrate such a unique festival reports incidents of Honor Killing and has a high rate of crime against women. Lets pledge to respect each women equally this Raksha Bandhan as a mark of  honor for your sister. In this Hindi Kavita (Poem) I have tried to express what all those devoid of sisters are missing in their life. It is also reminder to all those who have sisters but take these advantages as granted without caring for their sisters.  Happy Raksha Bandhan to all.
Raksha Bandhan - Jiski Bahan Nahin Hoti.
सूनी कलाई, सूना बचपन, सूना आगन हो जाता है,
जिसकी बहन नहीं होती सूना उसका जीवन हो जाता है। 
Suni Kalai, Suna Bachpan, Suna Aagan Ho Jata Hai,
Jiski Bahan Nahin Hoti Suna Uska Jeevan Ho Jata Hai.
सब से नाराज़ होने पर चुपके से कोई खाना नहीं खिलाता है,
जिसकी बहन नहीं होती वो भूखा ही सो जाता है। 
Sab Se Naraz Hone Par Chupke Se Koi Khana Khilata Hai,
Jiski Bahan Nahin Hoti Wo Bhuka Hi So Jata Hai.
बिन मांगे ही कुछ मनचाहा सामने आ जाता है,
जिसकी बहन नहीं होती वो ख़ुद पैसे बचाता है। 
Bin Mange Hi Kuch Manchaha Saamne Aa Jata Hai,
Jiski Bahan Nahin Hoti Wo Khud Paise Bachata Hai.
अपना आधा हिस्सा खाकर आधा और मिल जाता है,
जिसकी बहन नहीं होतीं वो सब तन्हा-तन्हा खाता है। 
Apna Aadha Hissa Khakar Aadha Aur Mil Jata Hai,
Jiski Bahan Nahin Hoti Wo Sab Tanha-Tanha Khata Hai.
एक कंधा दुखड़ा रोने को, एक दोस्त राज़ छुपाने को,
जिसकी बहन नहीं होती वो दिल में बात छुपाता है। 
Ek Kandha Dukhda Rone Ko, Ek Dost Raaz Chupane Ko,
Jiski Bahan Nahin Hoti Wo Dil Mein Baat Chupata Hai.
खट्टी-मीठी नोक-झोंक, मम्मी-पापा की रोक-टोक,
जिसकी बहन नहीं होती वो गुमसुम सा हो जाता है। 
Khatti-Meethi Nok-Jhonk, Mummy-Papa Ki Rok-Tok,
Jiski Bahan Nahin Hoti Wo Gumsum Sa Ho Jata Hai.
धीरे-धीरे बतियाना, यूहीं हँसना-रो जाना, गुस्से में भी न चिल्लाना,
जिसकी बहन नहीं होती वो औरत को समझ नहीं पता है। 
Dheere-Dheere Batiyana, Yuhin Hasna-Ro Jana, Gusse Mein Bhi Na Chillana,
Jiski Bahan Nahin Hoti Wo Aurat Ko Samajh Nahin Pata Hai.
सूनी कलाई, सूना बचपन, सूना आगन हो जाता है,
जिसकी बहन नहीं होती सूना उसका जीवन हो जाता है। 
Suni Kalai, Suna Bachpan, Suna Aagan Ho Jata Hai,
Jiski Bahan Nahin Hoti Suna Uska Jeevan Ho Jata Hai.


सूना (Suna) - Deserted, तन्हा (Tanha) - Alone, कंधा ( Kandha) - Shoulder,  दुखड़ा ( Dukhda) - Problem, बतियाना (Batiyana) - Talking.

Back to Featured Articles on Logo Paperblog