Magazine
Young Profesors in College
Posted on the 30 July 2013 by MayearonkarIn india there are many private colleges. And most of them actually gives no quality education still students take admission there because of grandiose promises given by the colleges. But problem for such private colleges is, how to get teachers? , to ab un logo ne kya plan shuru kiya he, ki unke jo fourth year ke bache jo hote he, jo fifth year tak passout hote he, aur jinki sixth year tak job nai lagti he, unko seveth year me campus se as a faculty recruit kar liya jata he. Bhai college ka record improve ho jata he and saste me apko teacher mil jate he. Ab maja yahape ata he ki apko jo teacher ate he young ladke 22-23 salke unka apni junior bandiyo pe crush hotahe , chalo pantiyo pe crush hota he. Aur ap dekhiye seniors ka hamesha junior bandiyo pe crush hota he, kyuki unke batch walo ko kisine pata liya hota he.
To aisa trend he dekhiye ap, young professors jo he campus me arahe he, ab professors low waist jeans pehenke, sleeveless tshirt pehenke, tatoowatoo lagake , enfield pe arahe he dhuddhuddhud…..
Young professors campus me arahe he, math ki class chal rahi he, professor Bhalla he, unka Roshni namki bandi pe crush he wo usko cheap rap gake impress kar rahe he..
What do you know about math, what do you about math
You know we multiply, we solve to simplify
Theres limit to the sky and find value of pie,You think you know too much then find x and y.
What do you know about math.
Apke prof jo he, physics wale porf math wale prof wo canteen me khade hoke bandiyo ko checkout kar rahe he.
Professor 1= “ Bhalla, abe waha nai antilog wise dekh, yar manana padega is bar ki freshy batch jo he wakayi fresh he, matlab gal dekh, mano makhan me dosa mila diya ho, abe tujhe pasand ayegi.”
Prof Bhalla=” Q mujhe q pasand ayegi?”
Professor 1=” dekh na , she has got curves that could embaress our parabola”.
Prof Bhalla=” par yar iske bareme mene kai negative bate suni hui he.”
Professor 1=” To mod le liyo, tension q le raha he”.(mod is mathematical operation which removes negativity :P :P)
Prof Bhalla=” sai he dikhneme to tot he”
Professor 1=” are thikse dekh asymptote he infinity me jake milegi is janam me atte nai ane wali.”
To aisa mahol dekhiye ki matlab bandiya doubts puchne jati he unke pass to wo flirt karne lagte he.
Roshni=“sir what is photo electric effect?”
Prof Bhalla=“roshni,tumahari photo dekhake dilo dimag me jo current dodta he, that is photoelectric effect.”
Viva me bandi ko dekhake partiality karte he.
Prof Bhalla=“so rashni tell me what is the unit of electric power??”
Roshni=“what sir????”
Prof Bhalla=“watt is correct.. wat is the right answer. Watt is the unit of electric power ..bingo..”
Matlab profs ka padhai me dhyan hehi nai. Class bunk kar rahe he . attendance short ho rahi he unki.
To campus ka dean jo he wo prof bhalla ko bulata he.
Dean=” Bhalla sahib ye kya dekh raha hu me. Kitni atendance he apki?”
Prof Bhalla=“sir 85%”
Dean=“ap chahte ki me apke parents ko bulau?”
Prof Bhalla=“nai nai sir please..”
Dean=“Kitni attendace he apki?”
Prof Bhalla=“sir 30%”
Dean=“isase jyada attendane jo he wo student tym me thi bhalla sahib, guru bhagvan ka rup hota he iska matlab yeto nai ki pura semester ap bhagvan ki tarah gayab hi rahe, sirf holi , Diwali me prakat hote he app. Un dino bacho ki chutti hoti he. Pichle sal ka question paper repeat kar diya apne. Pehle question paper repeat karte he, fir bacho ka course repeat karwate he. Paise leke apne apka khudka question paper leak karwa diya?? Kya what is going on?? Ab bhalla sahib ye kya gilla panti he apki?? Nai apne clas ke benches pe compass se roshni ka nam likhwa diya ??”
Prof Bhalla=“sir wo mene nai likha he?””
Dean=“professor sahib ap professor he, ye log apki handwriting pechante he”
Prof Bhalla=“sir wo mene student tym pe likha tha.”
Dean=“aur wo jo apne mens washroom me besin ke niche jo kalakari ki he uska kya?”
Prof Bhalla=“sir apko kaise pata mene wahape??”
Dean=“don’t change the topic bhalla sahib. Mens washroom me?? What is the point?? Ap jant he waha roshini ko kabhi jana hi nai he. Apko kuch likhwana hi tha mandakini hostel ke yaha likhte. Thode din pehle fashion show tha, ap models ko dekhake sitiya baja rahe the, log excited hoke apni shirt uthake fekte the , apne pant hi utarke fek di. Mere mu pe ake lagi pant. Apko kya lagta he ap Michael Jackson he jo log apki pant ko lekar ladhenge? Sitiya baja rahe the ap bhalla sahib?”
Prof Bhalla=“sorry sir wo flow me nikal gayi.”
Dean=“flow ko kabu me rakho bhlla sahib. Flow me aur bohot chije ho jati he, ye koi excuse thodina hui? Control bhall sahib . control. Nai apko kya lagta he hamara man nai lagta? Siti bajaneka??”
Prof Bhalla=“sir apka man bhi karta he?”
Dean=“of course karta he bhalla sahib , har engineer ka karta he. To kya hua ki hum professor he ,humare jamane me apke jaise koi suvidha nai thi na internet tha , na cellphones the, sara kam imagination se karna padta tha. control bhalla sahib , badi thin line hoti he student and professor ki, abhi mera mamta madam ke sath affair he , kisiko pata he?? Mamta madam ko bhi nai pata, itna carefully karna padta he. aur ye kya bhalla math ke answer sheet me kitne marks diye apne roshni ko?”
Prof bhalla=” sorry sir wo totaling mistake hogayi.”
Dean=“math ke professor hoke totaling mistake bhalla sahib???”
Prof Bhalla=“sir wo calculator ke cell khatam ho gaye the.”
Dean=“cell khatam hogaye the to 100 mese 150 dedete, 200 dedete, 500 dedete, apne to pure Avogadro numbers dediye bhalla sahib. Itna pyar karte he ap?? Avogadro numbers??”
Prof Bhalla=“sir pyar ki bat nai he wo totaling mistake ho gayi”
Dean=“itni kitni totaling karli apne?? Kabse totling kar rahe the big bang ke jamase se? Avogadro number?? Kaise justify karunga commity ke samne?? Apko denehi the to C dedethe. Velocity of light. Roshni=velocity of light . me justify kar deta tha. Avogadro numbers??”
Prof Bhalla=“sir wo roshni ke left chik pe ek mole he.”
Dean=“ohh to mole concept me busy the ap..”
Ohh don’t worry end samjhahi nai hoga mole concept is related to Avogadro number. Those who don’t know Avogadro number let me tell you its value 6.02214129(27)×1023.
You Might Also Like :