Intazaar
Kuch aisa kar ke
barkha ban kar tu
sama ja aandhiyo me
ke mere jahan me na teri kami ho
aur jo agar kabhi pade zarorat mujhe teri
to baras padna baarish ki nanhi nanhi boondo sa
main bistar pe leta
khidki pe taktaki lagaye
sochunga tujhe
khojunga tujhe
thak kar jab so jaunga main
tab tu aana beawaaz
chhod jana apna aks
mere jism pe bikhri boondo me
Sahej lunga main unhe samundar ke motiyo ki tereh
aur tera main barkha,
fir intazaar karunga...
aur jo na ayi tu kabhi
tere aks me hai main
tera deedar karunga
tera intazaar karunga..