Creativity Magazine

Sagar

Posted on the 08 November 2012 by Heartbaredtoyou121 @naughtytushki

image

Hun to main saagar ki tereh
Antaheen, vishal aur gehra
Roodiyo se pare, jahan hai bas sannate ka pehra
Saath ko bas namkeen pani aur suraj ki kirno ka rang sunehra

Jaise Kisi ke behkane par koi insaan behakta hai
Sagar bhi bas vaise hi ithlaata, uchalta fudakta hai

Na seema iski, na koi bandish is par
Nagpaash ki bhanti sa, Ye to bas das sakta h

Athaah gehraiyo me iski, kehte hain jeevan bhatakta hai
Par banawat dekh kar iski, mujhko kuch Dar sa lagta hai

Dar ko kaabu karne ke liye main jab do boond iski uthata hu
Kya hoga agle pal me, Ye sochkar ghabrata hun
Kaisi kashmakash h Sagar teri baaho me
Chhootna bhi chahu magar
Tere veg se main Dar jata hun

Kaha hun main Sagar ki tereh
Pal pal bas ghabrata hu
Vo thakta nahi sabke dard lekar bhi
Main khushiya baatne me katrata hun

Marm mere asmanjas ka, shayad tune bhaanp liya
Maankar meri duvidha ko apna tune, hai tune ehsaan kiya

Suraj chandrama ke samaan tu
Bas chalna sikhla de
Ruke samay chahe Kisi waqt bhi lekin
Vo waqt mujhe na shiqwa de….

28.383531 77.293255

Back to Featured Articles on Logo Paperblog

About the author


Heartbaredtoyou121 179 shares View Blog

The Author's profile is not complete.

Author's Latest Articles