Creativity Magazine

Aahat

Posted on the 09 June 2012 by Alka Narula @narulaalka
                           
lyrics in hindi...
my aplolgies for posting them on this blog , i did think of deleting it fro here but had a change of mind
let it be ,let it be here
  aahat
yeh kaisi awaaz hui,yeh kaisa shoar hua,
ek teer chala,
mere dil ko choo kar nikal gaya.....
yeh kaya hua ,yeh kaisa manzar hai
din mein bhi mujhe chaand dikhne laga.....
main kaya karoon,kiss se khoon,
 mere dil ki dhakan bhi kuch kehne lagi,
main sun ne lagi,
unke kadamon ki aahat ab rukti nahi...
yeh kaisi awaaz hui,yeh kaisa shoar hua
hmm,hm ,hmm ,hm/.....
 dekho mujhe , mujhe kaya hua
mere honthon pe unka naam likha....
roko mujhe, main ruk na paaon
main aur sunder dikhne lagi,
un ki aahat jab se main sun ne lagi...
yeh un ki aahat hi thi,
yeh un  ki aawaz hi thi ,
jisne mujhe jeene ka maqusad diya
yeh kaisi aahat hui,
yeh kaisi awaaz hui,
yeh kaisa shoar hua,
hmm,hm ,hmm ,hm/..
main aub behkne lagi,
mein aub chehkne lagi ,
mujhe kaya hua,
aei duniya walo,
mujh ko sambhalo,
main un se mohabbat karne lagi......
jub se  choo kar unhon ne mujh se kaha.....
woh meri manzil hain,
mera pyaar hain,
yeh kaisi awaaz hui,yeh kaisa shoar hua,
ek teer chala,
mere dil ko choo kar nikal gaya.....
yeh kaya hua ,yeh kaisa manzar hai
din mein bhi mujhe  chaand dikhne laga....
hmm hm hmm hm
copy right(c)alka narula
photo credit google search,image of love couple

Back to Featured Articles on Logo Paperblog

About the author


Alka Narula 1242 shares View Blog